Search
 
Write
 
Forums
 
Login
"Let there arise out of you a band of people inviting to all that is good enjoining what is right and forbidding what is wrong; they are the ones to attain felicity".
(surah Al-Imran,ayat-104)
 
 Views: 1840   
 Replies: 0   
 Share with Friend  
 Post Comment  

Qanoon sb k lea:

 

“5…..10…20…30. 30 bnde hain mugh se age. 2 mint fee bnda to 60 minute mein farigh ho gaunga beta.phr jaunga kaam pe”  sufaid darhi wale borhe ne mairi taraf daikhte hue kaha.us ki umar taqreebn 75 saal the. Sufaid shalwar qameez pehn rakhi the.sabz aankhein theen. Chehre ki jhuryaan umr ki sakhtean bta rhe theen our jism ki hadyaan sakht mehnat ki dastaan suna rhe theen. Baba bank ke samne  qataar mein khara tha..our us ke theek peeche main tha.hum donu university mein dakhla form jama krane ae the..jis ka phr imtehaan hona tha..is qataar mein ziada tar nojawan khare the is lea main ne tajassus se poucha”baba aap ka baita khud form jama krane q ni aya..baba ne mairi taraf daikha our bola “baita hamare pass tuition ke paise ni hain..to main use sirf ziada se ziada waqt de skta hun parhne k lea.to main khud a agaya”….main ne poucha aap krte kia hain..bola..”mehnat mazdori krta hun..jo din ki dheari mlti hain us se ghuzara hota hai…abhe isi ka hisaab kr rha tha k kb tk farigh hun ga.”

Main our baba subha 9:30 se qataar mein khare the..our 1 ghante guzrne ke bawajood Qataar age se ziada peeche ko taraqi kr rhi the…jo  ata line mein lg jata…kuch ase bhe ae..jo ate..line ko diakhte..jaib se mobile nekalte..kisi ko call milate.. Mobile jaib mein rakhte..bank se ik shakhs baher ata our phr donu  andar chale jate..pochne par maloom hota who bank staff mein se hain…hum is ko sach mante hoe dobara qataar mein khare ho jate..ik ik kr ke khirki se form jamma hote rhe our is doran bank ka darwaza bhe khula rha our “staff k lae” direct form jama krane ki sohulat bhe muyassr rhe..hamare qadam ahista our ghari ki suyyan taiz chal rhe theen..ab 1:50 ho chuke the..main khirki se 5 bnde door tha our baba 4. ik dam shor-o-ghul mach gaya..jo khirkhi se jtna kareeb tha utna ziada ghuse mein tha..main qataar se bahr nekla..baba ko maire jaga sambhalne ko kaha..our khirki k pass puhancha..daikha to khirki band ho chuki the..form jama krane ka wat khatam ho chukka tha…hum shikayat lekar bank manager k pass chale gai..is duraan 2 bag chuke the.bank manager ne ghari daikhi our bola…”2 bag chuke hain..qanoon ke mutabik hamare duty hours khatam ho chke hain..kal ana”  baba ne lambi sanse li..form ko daikha, phr mghe daikha, wo kuch kehna chahta tha.phr sir utha kr bank manager ko daikha to wo wahan se ja  chukka tha…baba ne sir se sufaid topi utari our mur kr wapis chal dea..main baba k peeche ho lea take poch sakun k aaj ki dheari to gai..kia kal phr paise our pait ki qurbani doge? Main jaise hi mura maira ek dost samne khara tha main ne pocha “form jama ho gaya..bola “han”..mghe yaad aya wo to Qataar mein tha hi ni…main ne pocha to bola “ YE Pakistan hai Pakistan..yahan sb chalta hai”.. main ne apna qissa sunaya to khne laga..”bewakoof hu..bewakoof..qasam se” our chala gaya..is duran baba bhe wahann se ja chukka tha…main agli subha phr gaya..bht dhonda par baba nazar na aya…njane who masum aaj kahan tha…wo aaj ni aya tha..par aflatun sare mujood the…jo bari bari gate k raste bank staaf mein shamil hote..10 mint kaam krte our phr retirement lekar chale jate. Gate pe khara qanoon bhe tha..ni tha to sirf number 30 pe khara wo masuum.

   Ye hamara kaisa qanoon hai jo ghareeb ko kamzoor our taqatwar ko or mazboot bna rha hai..khte hain qanoon sb se balatar hota hai…liken hamare mulk mein sb se upar mazboot our talukaat wale logon ka tabka hai phr qanoon hai our phr awam lehaza jo upar ka tabka krta hai wo qanoon ki nazr se pare hota hai…par wohe kaam agr aam insaan kare to qanoon hrkat mein ajata hai…our burai ke sadebab mein zra dair ni lgata…qanun bnta hamari hifazat k lea hai..par yahan to ulti ganga beh rhe hai..nafa ke bjae ulta qanoon hamare nuqsaan k lea istemaal kia jata hai…Police-gardi ko hi daikh legea..awal tabke ke log jurm kr k bhe nelkal jate hain our ik aam insaan ko momuli ghalti par bhe thane ki chitrol naseeb hoti hai..School, college, universities mein awal tabqa to jaise taise kr k number le jata hai..aam insaan agr apne paper bhe daikhna chahe to itne chakar lagwae jate hain k dobara imtehaan a jata hai..hamare nujawanu mein 3rd division wale ko pehle our first division wale ko baad mein nokri milti hain…tajaozat ke khelaaf operation mein hameesha rerhi wale ki rerhi ulat di jati hai..haspatalun mein mareez operation theater k baher hi mr jata hai qk Doctor sahib andar kisi apne janne wale ka operation kr rhe hote hain. Gharz beseun ase mwake hain jahan awal tabka to nekal jata hai aam insaan ke gale mein qannoon ka phanda daal dea jata hai.

          Ase mein ek aam insaan kia kare..ya to qanoon se balatar hokr awal tabke mein shamil hogae ya chup chap qanoon ki chakki mein pista rhe our bolta  rhe

 “Paiwasta reh shajr se umeed-e-bahar rakh”

 

 No replies/comments found for this voice 
Please send your suggestion/submission to webmaster@makePakistanBetter.com
Long Live Islam and Pakistan
Site is best viewed at 1280*800 resolution