Search
 
Write
 
Forums
 
Login
"Let there arise out of you a band of people inviting to all that is good enjoining what is right and forbidding what is wrong; they are the ones to attain felicity".
(surah Al-Imran,ayat-104)
Image Not found for user
User Name: bint_e_muslim
Full Name: proud Pakistani
User since: 11/Jul/2009
No Of voices: 20
 
 Views: 3575   
 Replies: 0   
 Share with Friend  
 Post Comment  
AssalamOAlaikum!
jaisa k hum jante hain k ...
EID UL AZHA ...
qareeb hai ..

aur Pakistan mein Khas kar ..... iss EID par bachhon ...aur badon
mein kis qadar .... Excitement payi jati hai ... koi iss se bacha hua nahi ..

sab hiii apne QURBANI K JANWARON ki khoob khoob khidmat mein lage
rehte hain ....
jis k waja se ek Mah qabil hii EID ki ronaqain ... urooj par hoti hian ..


hum jab Qurbani kar rahe hote hain tou Allah se
humara Ehad ya Dua ye hota hai k ....

meri Namaz meri Qurbani mera Jina mera Marna sab Allah Rab ul izzat k liye hai ..

yani Qurbani se pehle Namaz ...

lekin .... hum tamam log hii .... khas tour se iss EID par
apne Qurbani k Janwaron ... ki dekh bhal ...
aur inn k khidmat main iss qadr magan ho jate hain k...
Namaz ka kuch pata hii nahi hota ...... aur wo qaza ho jati hai
aur baaz afrad tou .... Qaza ki b zehmat  nahi karte ...

aur jis baat ka hum Allah k aage iqrar karrahe hote hain
... apne Amal se oss ka Inkar zahir kar dete hain ...



dusre ek aur ehem baat wo ye k ...

humare aksar bhai hazrat ...

Qurbani k bade janwar ..... ko jab road par le kar nikalte
hain tou iss .... ki rassi chhor kar osse itni tezi se dourate hain jo baaz auqat HADSAT ka bais banjata hai ..
ab iss tarah ki khabrain aam ho gayi hain ..

ya agar Hadsa pesh na b aye tou itna khouf zurur tari ho
jata hai ...k kaheen koi janwar ghusse mein kisi ko mar hii na de ....



meri guzarish hai k


1-.... Namaz ko apne time par zurur ada karain ..
NaMAZ har haal mein farz hai ...

2-.... apne janwaron ko .... sadkon par betahasha dourate hue na niklain ...
aise har kaam se ijtenab karain jis mein Insani jan ko khatra laiq ho jaye ...

hum .... Sunnat ki adayigi mein .... apne faraz ko bhool kar aur logon k liye takleef ka saman kar k ... kis sawab k haqdar banain ge ..??


iss par b zurur sochiye .!!!

 No replies/comments found for this voice 
Please send your suggestion/submission to webmaster@makePakistanBetter.com
Long Live Islam and Pakistan
Site is best viewed at 1280*800 resolution