jashan aazadi ka kis tarah manayain ham
bain karain ya geet aazadi kay gayain ham
batao kis tarah jashan aazadi ka manayain ham
naaray lagayain ham lehra ker parchem pakistan ka
ya gali gali main parhi lashain uthhayain ham
chhin gya hai sir say sayaiban kitnay logoon ka
kitnain jalay huway makaan dunia ka dikhayain ham
luti hai ismat jin maasumoon ki saray bazar
kub tuk ashaq un kay liay bahayain ham
kaheen siasatdano nain kaheen din kay thhekedaroon nain
haal kia hai jo watan ka kis munhu say sunayain ham
din kay nam per jo tum nain bahaya hai
woh rung lahu ka parhanoon say kaisay mitayain ham
parhhi hain bairhhiyan aaj bhi hamaray paoon main
kadam manzil ki janib kis tarah barhhayain ham
pathar dil hain yahaan, dais hai behray logoon ka
geet muhabat kay manohar kis ko sunayain ham