Shaukat saheb k baad baari hai janab Qazi saheb ki.
Amin Fahim: ye to sarasar ziadti hai, hamari baari kahan gai ?
Amin saheb mein PM banney ki baat nahin kar raha, shair ki baat kar raha hun
Qazi Hussain Ahmed:
Bismillah irrehman nirrahim
meri nazm ka unwan hai "Majlis-o-Amal" arz kia hai....
Ulti hogae sab tadbeerain, kuch na hamara kaam hua
"Majlis" bhi barkhaast hui, Itehad-o-"AMAL" Nakam raha
beet chukey wo waqt suhane, phirtey they ham seena taaney
Tankha li, desk bajai, baaqi waqt aaram hua
Amin Fahim:
Qazi saheb k shikwa pe jawab-e-shikwa paish karoonga, arz kia hai....
Hangama hai kio barpa, mafahimat hi to bas ki hai
daka to nahin dala, chori to nahin ki hai
jab hilta hai har pata, ik hukm-e-ilahi hai
deal un sey yun hojana, Allah ki marzi hai
sherry k kia kehney ham sab ki jaan hai
gilani ne to shararat ki inteha kardi hai
Ab darkhuast guzar hun sadr-e-mehfil, musharraf saheb seyk wo apne sadarti ordinance sey nawaz den...
Pervez Musharraf: Arz kia hai ......
Shaukat Aziz: Sir ji arz ko choren, hukum karen hukum
Musharraf: Iftikhar bhai k plot par meine chand ashaar taameer kie hain.....
Ae Khuda mujhey itna motabar kardey
mein sarbarah hun, mujhey aainda bhi SADDAR karde
mein bhar k thaam lunga haath dosti k lie
jo manmohan apna haath bhi idhar karde
Mutasirin-e-Mushaira, is mushaira sey siasardaan ibrat aur awam sabak haasil karen, ijazat chahtey hain
hamari kismat aur siasat ka Allah hi haafiz.