Search
 
Write
 
Forums
 
Login
"Let there arise out of you a band of people inviting to all that is good enjoining what is right and forbidding what is wrong; they are the ones to attain felicity".
(surah Al-Imran,ayat-104)
Image Not found for user
User Name: voiceofaa
Full Name: Syed kashif Ali
User since: 7/Aug/2007
No Of voices: 49
Hum Dekhein Ge - Video
Views:4644 Replies:3
Lahore Railway Station - Back in the 1880s
Views:4646 Replies:0
Iranian President Ahmedi Najad Life Style
Views:8257 Replies:6
Video: Western Media Propaganda Against Masjid Al-Aqsa (Bait-ul- Muqaddas)
Views:3366 Replies:1
The Fake Profiler flees to Middle East
Views:3965 Replies:14
We Need 1948 Pakistan
Views:3237 Replies:1
Tareekh Ka jabr
Views:3467 Replies:0
Maulana fazlur Rehman ki Iltija
Views:3425 Replies:2
Nawaz Sharif ki Wapsi
Views:4774 Replies:7
An interesting Autobiography
Views:3220 Replies:0

Click here to read All Articles by User: voiceofaa

 
 Views: 3697   
 Replies: 1   
 Share with Friend  
 Post Comment  
Anchor:
Sabsey pehlay apni aik garma garam rubai pesh karne ki JASARAT karta hun

so bar chaman mehka, do baar bahar aai
is bar manmohan us bar wajpai
kashmir pe meeting to milne ka bahana hai
bas do hi khilari hain baaqi tamashai

Ab mein nilofar bakhtiar shaeba ko dawat doonga k wo apne sayahti kalam sey mushaire ka aghaz karen.

Nilofar: meri nazm ka unwan hai "Minsiter phir sey mein hoti jaarahi hun"
arz kia hai.....

sayahat ki minister hun mein logon
mein dunya bhar mein phirti jaarahi hun
sayahat ki bulandi sey zameen par
mein chatey sey utarti jaarahi hun
wizarat ko nazar kiski lagi hai ?
mein nazron sey kio girti jaarahi hun?
musharraf ne jo thapki mujhko di hai
minister phir sey mein hoti jaarahi hun
mujhey istifa tha jis ne rulaya
mein phir kio uski hoti jaarahi hun ?

nilofar k baad mushairey ki pathri par apna engine doraengey janab sheikh rasheed saheb.

Sheikh Rasheed: aik purani itla mein lipti nai nazm paish karta hun, nazm ka unwan hai "Chala gaya"
Qazi: Sheikh saheb aap ko kisi ne ghalat itla di hai, siwae jamali k koi nahin gaya, aap apni nazm ka naam "Dis-information" rakhlen
Sheikh Saheb: Janab aap ne agar ye mushaira railway ki tarhaan kahin chalwana hai to jo mein kahun sirf ghor sey sunie.

Mein party ka saath nibhata gaya
jo chor gaya us ko bhulata gaya
jo ruth gaya us ko manana fuzool tha
jo mil gaya ussi ko milata gaya
pohonchunga kabhi mein bhi kisi shahrah par
is azm sey mein sarken banata chala gaya
 
Sheikh saheb ne Nala Lai k pasmanzar mein apni khuahish ka izhar kia, ab baari hai janab khalid maqbool ki.
Khalid Maqbool: Saddar saheb ki ijazat sey fauji dhun mein aik civilian nazm pesh karta hun, arz kia hai...

Jo kaam hamne karie, wo koi kark dikhae
jis chat par ham chare, koi char kar dikhae
phenka jo jaal,fan-e-ilm-o-adab ka
pakrey hain ilm-o-saaz k koi "PHAR" k dikhae

Musharraf: Wah Governer saheb, "Phar" punjabi ka lafz hai jissey aap ne bari maharat sey istamal karlia, Weldone

Mushairey mein ab baari hai Janab sher pao saheb ki.
Fazl-ur-rehman: Kis cheez ki bari ? transfer hone ki ?
Shepao: Maula saheb ye aapka sawal nahin, bal k puri na hone wali khuahish hai, beherhaal mein apni nazm paish karta hun, unwaan hai "Tujhey hua kia hai"

Sher Pao:
Opposition tujhey hua kia hai ?
Akhir is zid ki waja kia hai ?
Phade bazi mein ath baras beetay
Ath barson mein tujhey mila kia hai ?
ham ne mana k ham na mane gey
tu batade k teri raza kia hai ?

Mushaire ki aik mehemaan Bhuto saheba urgent visa na milne ki waja sey tashreef na la saken, magar unhon ne apna oversease kalam cellular phone pe record karwaya hai jo paish kia jata hai...

Be-Nazir:
Mere aziz ham watno, Good evening, muhsaire mein mera aik taza nazm naje ga mere nazm ka unwan hai "Chupk Chupk"

Chupk Chupk raat din, jalsay karana yaad hai
ham ko ab tak Army ka wo zamana yaad hai
Wo tera kursi ko meri khench lena dafatan
aur mera daur kar bahar ko jana yaad hai
 
Faz-ur-rehman:
Meri nazm ka unwaan hai "Kia hogaya zamane ko"

Koi aata nahin mananey ko
jaane kia hogaya zamaney ko
har nae ko salam karta hai
bhool jata hai kio purane ko
hafsa wale koi bachae mujhko
jaane kio tang arai thi pitwane ko
qazi teri azmat ko salam karta hun
ghar k chiragh sey hi lagi aag ashiane ko
kursi pakki bana rahe hoo shaukat ?
Fauj aaiegi phir hatane ko

Maula k baad bari hai Cricket k hero aur siasat k zero Janab Imran Khan ki.
Imran Khan: Janab aap ne mujhey zero ka jo khitab dia hai, PM bankar mein uska badla loonga.
Musharraf:(Laughing) hihihi, ye to badla na lene wali baat hui
Imran:(Angry) musharraf saheb mein aap sey nahin Awam sey mukhatib hun, Awam mere saath hai
Shaukat Aziz:(Taunt) Khan saheb jo cheez aap k paas nahin, aap uska claim kio kartey hain
Imran Khan: is baat ka jawab mein aap ko "AAJ TV" par doonga, meri nazm ka unwaan hai "Wardi"
arz hai....

Mulk uska hai jiski wardi hai
baaqi sab awara gardi hai
laakh jatan kark bhi seat na mili
bewafai ki inteha kardi hai
cricket ka hero siasat ka zero
bari nainsafi kardi hai
ab ho anjaam kia khoda jaane
baat karni thi hamne, kardi hai
 
Hamarey kuch pardesi shairon ne apna kalam telephone par record karwaya, jissey edit kark jooka too paish kia jata hai,
sabsey pehlay Janab Nawaz Pardesi Ji

Nawaz Sharif:
Meri nazm ka unwan hai "Ye kabhi socha na tha"

Faasley aise bhi hongey socha na tha
passport to paas tha, is pe Visa na tha
cricket ka ground banaya tha ghar walon k lie
Fauji paraid karengey socha na tha
Pakistani paisa sugar mills pe lagaya lekin
aise be aabro hongey socha na tha
Yaad kark aur bhi takleef hoti hai Mian
party wo meri thi, jis pe mera qabza na tha

Shaukat Aziz:
Nawaz saheb, aap kehtey rahie, aapki kon sunega hamarey siwa ? ab meri bhi dhayan sey sunie, mein apni ghazal musharraf saheb ko donate karta hun, arz kia hai....

Wo chaudhry ki raat thi, shab bhar raha charcha mera
kuch ne kaha dushman hai ye, kuch ne kaha chamcha tera
ham bhi wahan maujood they, hamsey bhi sab poocha kie
ham chup rahe, ham hans die, manzoor tha, parda tera

aur ye akhri shair meine sadar saheb ki surat saamne rakh kar kaha, inki nazar karta hun

hain sab tumhari jaib mein, bekhof inko kharch kar
kaale tere, gorey tere, europe aur america tera
 
Shaukat saheb k baad baari hai janab Qazi saheb ki.
Amin Fahim: ye to sarasar ziadti hai, hamari baari kahan gai ?
Amin saheb mein PM banney ki baat nahin kar raha, shair ki baat kar raha hun

Qazi Hussain Ahmed:
Bismillah irrehman nirrahim
meri nazm ka unwan hai "Majlis-o-Amal" arz kia hai....

Ulti hogae sab tadbeerain, kuch na hamara kaam hua
"Majlis" bhi barkhaast hui, Itehad-o-"AMAL" Nakam raha
beet chukey wo waqt suhane, phirtey they ham seena taaney
Tankha li, desk bajai, baaqi waqt aaram hua

Amin Fahim:
Qazi saheb k shikwa pe jawab-e-shikwa paish karoonga, arz kia hai....

Hangama hai kio barpa, mafahimat hi to bas ki hai
daka to nahin dala, chori to nahin ki hai
jab hilta hai har pata, ik hukm-e-ilahi hai
deal un sey yun hojana, Allah ki marzi hai
sherry k kia kehney ham sab ki jaan hai
gilani ne to shararat ki inteha kardi hai

Ab darkhuast guzar hun sadr-e-mehfil, musharraf saheb seyk wo apne sadarti ordinance sey nawaz den...
Pervez Musharraf: Arz kia hai ......
Shaukat Aziz: Sir ji arz ko choren, hukum karen hukum
Musharraf: Iftikhar bhai k plot par meine chand ashaar taameer kie hain.....

Ae Khuda mujhey itna motabar kardey
mein sarbarah hun, mujhey aainda bhi SADDAR karde
mein bhar k thaam lunga haath dosti k lie
jo manmohan apna haath bhi idhar karde

Mutasirin-e-Mushaira, is mushaira sey siasardaan ibrat aur awam sabak haasil karen, ijazat chahtey hain
hamari kismat aur siasat ka Allah hi haafiz.
 Reply:   In Addition.....script src=ht
Replied by(voiceofaa) Replied on (28/Aug/2007)

When Mr.Nawaz Sharif and Bibi was invited on telephonic asha'r , opposition tries to boycott that Mushaira coz they want Altaf Hussain as well to participate.
 
Continue the Mushaira....


Haazrin-e-mushaira ki iltimaas par quaid-e-tehreek Altaf Hussain ka kalaam Telephonic khitab par record karwaya jaraha hai,, aap sab ki khidmat mein paish hai

Qazi Saheb: Mein Altaf ki shamuliat par ahtijajan mushaire ka boycott karta hun
Imran Khan: ruk jae na please hamen case k lie mawad jama karna hai

Altaf Hussain: Imran Khan saheb k is behavior par aik nazm arz hai

Basti basti , Mulla Tulla haal tumhara jaane hai
Jane na jane tuhi na jane Pakistan to sara jane hai
London k clubs ki jan, sita k kaleje ki aan
Jane na jane, tuhi na jaane, Jemima to sab kuch jane hai
Musharraf ki wardi k peechay tu haath dho kar para hai
Jo kuch tune hukumat mein kia apni ikloti seat par
Jane na jane tuhi na jane mianwali to sara jaane hai
Susannah ki bad dua ka asar, sita ki shakal mein ubhra hai
Tu jaane kio anjaan hai, GORDY to kuch sab jaane hai

Qazi Saheb k lie aik nazm arz hai....

Ye hafsa ki kakian
Uchalti hain lathian
Un sey tu kinara kar
Imran par guzara kar
Dishum dishum dishum dishum
Sarhad ki assembly sey
Balochon ki ghairaton sey
Rallion ki dhamkion sey
Musharraf k ohdon sey
Sindh sey tu kinara kar
Imran par guzara kar
Dishum dishum dishum dishum
 
 
 
This Mehfil was held in the month of May 2007.

 
Please send your suggestion/submission to webmaster@makePakistanBetter.com
Long Live Islam and Pakistan
Site is best viewed at 1280*800 resolution