May God protect you All.
And, enjoy this poem:
Hasb e Haal Mazhab kai jo bhyopari haiN, Wo sab se bari bemari haiN, Wo jin kai siwa sab kafir haiN, Jo deen ka harf-e-akhir haiN; In jhutai aur makkaroN sai, Mazhab ke thaikaydaroN sai, MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON JO CHAHE MUJH PAI ZULM KARO
Is daur kai rasm riwajoN sai, In takhtoN sai in tajoN sai, Jo zulm ki kokh sai jantai haiN, Insani khoon sai paltai haiN; Jo nafrat ki bunyadaiN haiN Aur khoni khet ki khadeiN haiN, MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON JO CHAHE MUJH PAI ZULM KARO Wo jin kai hont ki jambish sai, Wo jin ki aankh ki larzish sai, Qanoon badalte rehtai haiN, Aur mujrim paltai rehtai haiN; In chorooN kai sardaroN sai, Insaaf kai pehrai daroN sai, MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON JO CHAHE MUJH PAI ZULM KARO Jo aurat ko nachwatai haiN, Bazar ki jins banwatai haiN, Phir is ki asmat kai gham maiN, TehrikaiN bhi chalwatai haiN; In zalim aur badkaroN sai, Bazaar kai in maymaroN sai, MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON JO CHAHE MUJH PAI ZULM KARO Jo qoam kai gham maiN rotai haiN, Aur qom ki daulat dhotai haiN, Wo mehloN maiN jo rehtai haiN, Aur baat ghareeb ki kehtai haiN, In dhokai baz lutairoN sai, SardaroN aur wadairoN sai, MAIN BAGHI HON MAIN BAGHI HON JO CHAHE MUJH PAI ZULM KARO |