Jism tarpa hai khak par tanha
rooh kartee rahi safar tanha
neend walon ko kia khabar iski
kaun jaaga hai raat bhar tanha
log soye thay band kamron main
chaand bhatka hai dar ba dar tanha
sath deta hai kon manzil tak
sath chaltee hai rah guzar tanha
shehar ka shehar bujhta jata hai
ja raha tha woh apne ghar tanha
ae gham e zindgee kay raat kay chand
dhoond mujh ko nagar nagar tanha
woh jo hansta tha ahl e dil pay kabi tanha
ro para khud ko dekh kar tanha
bhool kar apne husn kay aadaab
meray dil main kabi utar tanha
yeh khudayon ka daur hai is main
reh gia hai faqt bashar tanha
yah aye hazaar shehar mujhay
jab be dekha koee khandar tanha
is bharay shahar main kabhi mohsin
anjman tha koee magar tanha
|