Surkhrooh
Mohabbat kay takazoun mein mujhe hai surkhrooh hona
manajat hai yehi dil ki keh tujh ko chain aa jaaye
meri rahatein saari teri rahat mein hain pinhaan
dil o jaan ki baka teri khushi mein hai o jaan e jaan
kissey samjhayein yeh rishta bandha hai kaisey dhaagey sey
tan mann do juray hain eik hi kacchi si doori sey
teri dharkan ki aahat ki merey seeney pe dastak hai
teri ek sans jab tootey to mera dam nikalta hai
teri palkon kay sab aansoo meray chehrey pe behtey hain
teray honton ki muskaanain meri ranaiyaan hain jaan
tu jab udas hota hai to meri jaan jaati hai
teri tanhaiyon mein meri wehshat sans laitee hai
dua mein jab bhi hath uthay to manga sab teri khatir
mujhe tu mil gaya, meray khuda ki mehrbani hai
hai meri jaan sey barh ker teri asoodgi janan
tu khush abaad ho to meray aangan mein baharain hain
salamat tu rahey barsa bars itnee dua hai bas
teray sadqay mein malik ko to apni jaan bhi dain dun
humeesha noor chehrey ka yunhi khilta rahey tera
laboun se iss shararat ko kabhi na roothney daina
dil o jaan ki hararat sey jahan ko sainchtey rehna
mohabbat sey, iradat sey humeesha justajoo kerna
dekha daina zamaney ko shujaat kay gohr saarey
yakeen sey aur akeedat sey mana laina khudaii ko
teri palkon kay saaye mein mera deen aur meri dunya
kaf e paa ke taley jaanan meri yeh poori hasti hai
faqt umeed hai itni mujhe teri mohabbat sey
keh turbat pe meri ek baar aa ke haath rakh daina
yeh do lamhe akeedat kay mujhe mil jain gar ik din mohabbat ke takazoun mein mein khud ko sur
|