Bay'qarar Lamhon Mein
Bay'qarar lamhon mein sochti hun jab tum ko Bay'khumaar aankhon mein Khwab se sulaghtey hain
Janti hun mein janaan Khwab hi ho tum lekin Sa'toun ki laryon mein kuch khushi pirooni hai!
Tishnagi ke aalam mein kuch siraab piyason ko Zindagi ke sehra mein jaam ban ke miltey hain.
Rut khizaan ki thehrey to jhartey peelay pat'ton mein, Ankhili si kalyon ke rang bhi jhalaktey hain!
Maslehat ke pehrey mein tum bhi sans laitey ho, Hum bhi zeest kartey hain dil se mavra ho kar!
Kon kis ko parkhey ga Ulfaton mein jaan e jaan? Zeest gar wafa karti hum kahan miley hotey?
Phir bhi bay'khayali mein hans ke ro diye jaanan Soch kar najaaney kya bay'qarar lamhon mein!
|