yeh haal e dil kabhi kehna kabhi yun hi chupa jaana yeh batein tum na samjho gay, tumhain kehney sey kya haasil?
kabhi hans hans keh ghairon sey tumharey saamney aana kabhi logon mein bhi tanha, tumhain yun dekhtey rehna.
kabhi choti si batoun pe ulajhna aur khafa hona, kabhi tum ko manana jab tumhain tanhai aa ghairey
teray aanso chura laina jo palkon par bhi naa aaye tera gham saar hai koi humara sa, kaho janaan?
ajab ik kaj adaaiee sey humain yun taaltey rehna khamoshi sey humara muskurana aur chal daina.
akailey mein tumhari yaad ko dil mein basa laina khud hi sey haal e dil kehna ke jaisey saamney ho tum.
yeh dil mein sochtey rehna keh yeh kehna hai ab tum sey tumharey rubaru aa kar faqt ik aah bhar laina
yeh ulfat ki adaain hain mohabbat ki tareekat hai barey belos hain jazbe issi khamosh ulfat mein. |