Mohabbat
Mohabbat roz Hoti hey
Huwa sey fazaa sey,
Maan sey baap sey behan Bhai aur bibi sey Kabhi deet jaisi haseena sey, Bachey janti bivi sey, shaheed Ki beva Ya yateem key Eidi par girney Walley aansoo sey,
Kaam sey kaaj sey khanney aur khilany sey, Kabhi ganey sey bajaney sey, aur jhumak jhumak janey sey, Aur kabhi rat key un rutjugoon sey jab, Koi prinda sar nahein uthata, Kabhi namaaz sey Quran sey aur Saans jati jaan sey Agar, isko Muhabat hi nahei kehtey tu Mohabbat kabhi nahei hogi
Par muhabbat wohi sachi hey jis ko aaanch nahien Jis par shirmindgi , Pachtava ya koi gumaan nahein , Woh mohabbat jee merey sohney rab Ki mohabbat hey aur uskey Mehboob e Ahmed (sulleh Allah alaihe wasalam) Ki , Uss mohabbat mein mera Mehboob tu mera wali hey jis ney shafaet Ka wada mere paida honey sey pehley hi kardya ussi Dar Key hum swali Hein
Mein tu uss mohabbat pey nazaan aur vari, Mein paoon mein ghungroo , tu kabhi jadey mein tasbeeh Ka Dana, Subh Ki azaaan ya raat Ka qayaam,
Mein ishq e mohammed ka rogi,
aur mein ney jana apney mahi key paas
mera malak mera sohna mera paalinhaar,
Mujh sey dooor mujhsey door, mujhsey door
Kabhi Jo miljaey tu kehna merey Dildaar ko, Agar aon terey darbar par tu mera bharam rakhna merey sarkaar, merey Mehboob merey dilnasheen mein mar Na Jaoon kahein meri sharam rakhna
By Barrister Amjad Malik
|