Yeh galion kay awara bay kar kutay
Kay baksha gaya jin ko zok e gadai
Zamanay ki phitkar sarmaya un ka
Jahan bhar ki dhutkar in ki kamai
Na aram shab ko, na rahat saveray
Galazat main ghar nalion main baseray
Jo bigrain to ik doosray say lara do
Zara ik roti ka tukra dikha do
Yeh har aik ki thokaren khanay walay
Yeh fakon say ukta kay mar janay walay
Yeh mazloom makhlook gar sar uthay
To insan sab sarkashi bhool jaey
Yeh chahen to dunia ko apna bana lain
Yeh aaakaon ki hadian tak chaba lain
Koi in ko ehsas e zilat dila day
Koi in ki soooi hui dum hila day